Dhokho ke sheher mei
Ek aas mujhme bhi jagi
Haan yaha koi aisa bhi hai
Jo sirf mere liye hai bani
Woh chaand hai
Mei taara hoon
Woh paani hai
Mei foohara hoon
Woh neend hai
Mei sapna hoon
Woh meri khwaish hai
Mei sirf uska apna hoon
Meri zubaa se shabd nikalne se pehle hi
Woh mere dil ka haal samajh leti hai
Haan mere gusse se usse drr lgta hai
Isliye jhat se mujhe mana leti hai
Uska saath hona maano kisi khuda ka saath lagta ho
Na girne ka dar
Na thakne ka gila
Aisa hi kuch hai
Uska aur mera silsila
Hn hamari aksar ladayiyan hoti hai
Mere liye pyaar uske dil mei kitna hai
Yeh woh apne aansoon se jaahir kr deti hai
Uske pyaar mei kami kabhi ni lagi
Per use khone ka dr har waqt satata hai
Uski narazgi
uska gussa
Uska pyaar
Yeh sab mere liye hai
Isliye mera dil uspr pyaar aur bhi jyada dikhata hai
Kuch kahaniyan adhuri hu achchi lgti hai
Per uske saath
Usie liye mei poori kayanat se ladhne ke liye taiyaar hoon
Woh  jag-jaahir kare na kare mere ishq ko
Mei duniya ke saamne usse kabulna chahata hoon
Pyaar agr sachcha ho toh woh mukammal ho hi jaata hai
Mei apne pyaar ko paakr yeh bt sbko dikhaana chahata hoon
Previous Post Next Post